Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2005

Mehfil saji hai jaam ki

Mehfil saji hai jaam ki, Parada na kijiyeh,    (1) Khuch jaam humne pi liye, Khuch aap lijiyeh.     (2) Aesa bhala kyu sochteh hai, Ke jaam hai bura, Acche-bhale makaan ko, Maila na kijiyeh. (2)(1) Kitne tarah ke jaam hai, Kitne hi rang ke, Sab mein hai kaid jindagi, Dastak to dijiyeh. (2)(1) Ke saath mein kyu aur nahi, Eska tu daar na kar, Saari khudai saath hai, Bas aakh michiyeh. (2)(1)          Apne dimaag, krodh ko tu, Maan se alkag toh kar, Douri na tut jaye kahi, Utna hi khichiyeh. (2)(1) {    Jaam- pratik hai kadavi hakkikatoh ka    ya sachchaiyoh ka.    Jaam pijiyeh- sach ka saath dijiyeh. }

Hame apne aap se yu

Chaahat Apne Aap Se Hame apne aap se yu chaahat hui hai, (1) Ke ab hum kisi se mila nahi karte. (2) Dua dete-dete ke thak se gaye hai, Dasha ab ho koi, dua nahi karte. (1)(2) Sabhi roshni mein sada ji rahe hai, Ke hum roshni mein diya nahi karte. (1)(2)