Skip to main content

Posts

Showing posts with the label H

Hamare ghar pe jaane kyu

Insight: Duality Hamare ghar pe jaane kyu,(1) Chale voh roz aate hai.(2) Ghadi bhar ko teherte hai,(3) Ghadi bhar muskuraate hai.(4) Koi rishta nahi yu toh, Koi pehchaan nahi milti, Purane zakhm bharte hai, Naye khuch chod jaate hai.(1)(2)(3)(4) Koi uljhi si dori ho, Toh koshish kar sulaj jaye, Unhe hum khud banate hai, Banakar phir mitate hai. (1)(2)(3)(4) Sulagti dhoop ka cehra, Chupa badal mein hai jaise, Kabhi voh bhool jaate hai, Kabhi voh yaad aate hai.(1)(2)(3)(4)

Hum apne karobaar ko

Hum apne karobaar ko, lekar kaha chale? Har aur hi toh bheed hai, bolo kaha chale? Maana ke jindagi mili, main kaise khush rahu?, Gham jab hazaar saath mein, chahe jaha chale? Barsoh hue par aadmi, khud se mila nahi, Yeh khud-khusi ke saamne,  dekho kaha chale. Chal-neko,  paav haa mere! Chal toh rahe magar, Yeh kis disha mein aaj hum, haye!! Kaha chale? Koshish toh humne laakh ki, ke unsa pyaar ho, Loh voh bhi un mein mil gaye, ab hum kaha chale?

Hum unhe chahate toh hai lekin

Hum unhe chahate toh hai lekin, Unse milne ki kaha haisiyat hamari hai Ab dava kaam kar nahi sakti dard se dosti hamari hai phir jamana hai has raha hum par phir voh hi jindagi hamari hai sach ne bebol kar diya phir hummein phir savaaloh pe chup hamari hai

Houna ho tab ho-jaaegaa

No control over love Houna ho tab ho-jaaegaa, jaana ho tab voh jaaegaa.  Koi jitni koshish kar le, pyar hamesha rang laaegaa. Houna ho tab ho-jaaegaa, kab jaage kab soujaaaegaa, Dil pe zor chalaa hai kiska, khali dil kab bhar jaaaegaa. Houna ho tab ho-jaaegaa, hasta cehra pislaaegaa, Dil pe kaabu karna muskil, roeaga bhi, phir pachtaaegaa.

Humne socha tha kya

Humne socha tha kya aur kya ho gaya, Baat hi baat mein faisalaa ho gayaa.  Hum unhe pyar karne mein uljhe rahe,  Voh toh inkaar karke fanaa ho gayaa. Humne saaloh tak dil se savaraa jise, Pal mein kaise yeh manzar dhua ho gayaa.  Humne hum-dum samajke hi poojaa usse,  Woh toh ettarake mera khudaa ho gayaa.

Hum-ne paiso ko banaya

Hum-ne paiso ko banaya, Banake kya shikhe? Har taraf shor, bahaut shor, Macha rahi chikhe. Kal joh peene ke khilaaf,baa-khusi se ladhta tha, woh hai madhosh sharaab-khane mein,gham ko, jaa pi ke. Joh kal ko pure dil se jeete the, Joh kal ko ach-chi,fasal daite the, Woh khet hai toh magar,hai feekhe.

Hum jise yu hi gungunate the

Hum jise yu hi gungunate the, Aaj woh geet meri kahani hai. Bol jinko likha aur bhool gaye, Yaad woh waqt ko jubaani hai. Kal jise shauk se padhte par ab, Aaakh nam hai,labo pe paani hai. Chup hai har shor wah-wahai ka, Sach ki kya khoob meherbaani hai.

Hasne se karz badhta gaya

Hasne se karz badhta gaya, Roune pe ghat gaya, Mera joh khuch bhi tha sabhi, Marne pe batt gaya. Aise jiya ke kya kahu, Marna gunhaan lage, Jine ki aas di bahaut, Aakhir palat gaya. Aisa nahi hai tan kahi, Marne se joh bacha, Jite ghubaar phalta rahe, Marne pe phat gaya. Tu ji raha hai yaar mere, Toh es tarah se jee, Marne ka roz dhyan kar, Dharmoh se karz mitaah. Apna liya joh karz sabhi, Dheere dheere mitaah.

Hum jise bhool samajte the

Chahat Joh Hai Woh Kyu Hum jise bhool samajte the, woh dhoka hi sahi, Dil yeh pagal na jaane phir bhi unhe chahata hai. Koi chahhe bhi to hoh kaise bair hasne se, Voh joh chahhe hummein to roune mein maja aaata hai Dil yeh pagal na jaane kaise unhe chhata hai. Hum jise bhool samajte the woh dhoka hi sahi

Haar ke ghar ko laut, aaaegeh

KHABAR   HI   NA   THI Haar ke ghar ko laut, aaaegeh, khabar hi na thi, Chand se etna dur, jaaegeh, khabar hi na thi, Jooth se, milo dur tak, mera rista hi, na tha, Sach ki aesi sajaa, paaegeh, khabar hi na thi, Kitna sicha tha, apne-aap ko, mangil ke liye, Jagteh-jagteh hi so jaaegeh, khabar hi na thi, Jindigi yu toh, khusi baat rahi, pal doo pal, Gham magar sath, yu nibahaegeh, khabar hi na thi.

Hame apne aap se yu

Chaahat Apne Aap Se Hame apne aap se yu chaahat hui hai, (1) Ke ab hum kisi se mila nahi karte. (2) Dua dete-dete ke thak se gaye hai, Dasha ab ho koi, dua nahi karte. (1)(2) Sabhi roshni mein sada ji rahe hai, Ke hum roshni mein diya nahi karte. (1)(2)