Skip to main content

Hasne se karz badhta gaya


Hasne se karz badhta gaya,
Roune pe ghat gaya,
Mera joh khuch bhi tha sabhi,
Marne pe batt gaya.

Aise jiya ke kya kahu,
Marna gunhaan lage,
Jine ki aas di bahaut,
Aakhir palat gaya.

Aisa nahi hai tan kahi,
Marne se joh bacha,
Jite ghubaar phalta rahe,
Marne pe phat gaya.

Tu ji raha hai yaar mere,
Toh es tarah se jee,
Marne ka roz dhyan kar,
Dharmoh se karz mitaah.
Apna liya joh karz sabhi,
Dheere dheere mitaah.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.