Skip to main content

Aakhari saas pe hum aag bhujaane nikale


Regretful laugh on Past deeds, before death

Aakhari saas pe hum aag bhujaane nikale,
Apni bigadi ko phir ek baar banane nikale.

Hosh aane mein badi dair ho gayi ae dil,
Tere armaan tere ghar ko girane nikale.

Jindagi tujko banane ka humko jazbaa tha,
Hai kis dhun mein hum yeh khudko mitane nikale.

Kal jise fakr se toukar laga ke chalte the,
Aaj us bheed mein lo hum bhi dewaane nikale.

Hue madhhosh bade shaan se marte hue hum,
Apni hi kabr ko kya khoob sajaane nikale.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.