A Love like Mira
Voh humein aaj bhi tanhai mein rulate hai,
Hum unnhe aasuao se yaad kiye jaate hai.
Unpe dil aahi gaya hai toh jindagi kya hai,
Roz soutan ko dabe paav mil hi aate hai.
Shart rakhkhi kaha thi dil ne bewafai ki,
Bewafai ka wafai se haqh nibhaate hai.
Paar Karne ki sharhado ko humne koshsish ki,
Duriya badh gayi hai paas jab bhi jaate hai.
Hadh bhi koi ho mere dil pe meherbani ki,
Hum liya karz dugne bhav mein chukaate hai.
Loot gaye hai hue badnaam bhari mehfil mein,
Log haste bhi hai paagal bhi kahe jaate hai.
Voh paresaan hue toh neend na aayi humko,
Has diye toh bhari ho dhoop mein sou jaate hai.
Hum unhe dil se nikale bhi toh aakhir kaise,
woh jidhar reh gaye hum chen wahi paate hai.
Jo bhi raaho se kabhi kalko mira gujari thi,
Unhi raaho pe hum bhi dil se chale jaate hai.
Comments
Post a Comment