Skip to main content

Aaj phir meri nazar milke


Seeing the Hidden Trap of Suffering

Aaj phir meri nazar milke usse roune lagi,  1
Dard zaalim hai be rehem bahaut rulata hai. 2

Dou ghadi chupke hasata bhi hai agar mujko,
Phir nami dard rukavat se le hi aata hai. 1 2

Dhuae se aag ka rishta asal mein hai lekin,
Mere jigar ko bin dhuae ke hi jalata hai. 1 2

Es tarah darr ka mere zehen pe asar eska,
Yeh mujhe hosh mein madhosh kiye jaata hai.1 2

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.