Skip to main content

Tamam Koshishe karke bhi


Loosing a best Friend

Tamam Koshishe karke bhi main aaj haar gaya, 1
Mera Hunar mujhe tasalli daike maar gaya. 2

Joh shakhs meri dosti pe fakra rakhta tha,
Woh aaj dusmani se saara karz utar gaya. 2 1

Badi umeed se jisko sambhale rakhkha tha,
Woh dost sharahado ko jaane kaise paar gaya. 2 1

Jahan pe ab kabhi najaane ki kasam khayi thi,
Woh dar pe jaanke woh ek nahi sou baar gaya. 2 1

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.