Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2010

Voh gehsu-auo mein chupaa cehraa

Voh gehsu-auo mein chupaa cehraa, hai ab bhi yaad mujhe, Raat bhar un-se duri rehna, hai ab bhi yaad mujhe. Bhool jaane ki bahaut koshishse karta raha dil, Kitna darte hai unko bhoolne se, hai ab bhi yaad mujhe. Voh gehsu-auo mein chupaa cehraa, hai ab bhi yaad mujhe, Unse voh pehli mulaaqat, hai ab bhi yaad mujhe.

Phir-se tufaan ka aana hougaa

Phir-se tufaan ka aana hougaa, Phir tabaahi mein jamanaa hougaa. Log jeene-ko phir se shikhenge, Phir se har shaksha dewaanaa hougaa. (1) Vakt jo beet gaya hai usko, Ab-ke phir laut ke aana hougaa. (1) Phool murjha gaya jo jeevan bhi, Unko bhagvaan se milaanaa hougaa. (1) Maut jo jeet gayi har baazi, Aaj us ko bhi haraana hougaa. (1)

Mujhe mehboob aesaa de

Mujhe mehboob aesaa de, jo mera karz ada kar de, Joh mujko hosh mein laane ke khatir, sab fanaa kar de. Burai sab mein houti hai, toh phir mujmein bhi hai saamil, Mujhe parkhe, mujhe samjhe, meri nas nas ruhaa kar de

Humne socha tha kya

Humne socha tha kya aur kya ho gaya, Baat hi baat mein faisalaa ho gayaa.  Hum unhe pyar karne mein uljhe rahe,  Voh toh inkaar karke fanaa ho gayaa. Humne saaloh tak dil se savaraa jise, Pal mein kaise yeh manzar dhua ho gayaa.  Humne hum-dum samajke hi poojaa usse,  Woh toh ettarake mera khudaa ho gayaa.