Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2013

Voh hi sama hai, voh hi dost hai

boredom of a city Voh hi sama hai, voh hi dost hai, voh hi baatein, Seher mein phool voh hi hai, hai voh hi kaatein. Gajab ki bheed hai lekin, naya sa khuch bhi nahi, Voh hi lougo ki hai uljhan, aur voh hi saugaatein. Badaltein mausamoh ki, ab bhi hai fitrat voh hi, Hai voh hi dhoop, aur ab toh voh hi barsaatein.

Zulf bikhari joh cehreh pe rohnak hui

Zulf bikhari joh cehreh pe rohnak hui, Vakt qatil hua, saas baaghi hui. Muskuraane lage gul gulistaan mein, Hosh zakhmi hua, chout haavi hui. Chain kamjor tha, husn ke saamne Ishq rangeen hua, raat pyasi hui. Bhuj gaya har andhera, yu chali roshni, Surkh mausam hua, kam udaasi hui

Jindagi tujko banane ki humne koshish ki

Jindagi tujko banane ki humne koshish ki, Phook se aag bhujaane ki humne koshish ki. Kabse berang thi mere ghar ki diwaareh, Khoon se rang lagane ki humne koshish ki. Mere hisse mein koi phool kaha se aata, Phool ko bhool hi jaane ki humne koshish ki. Chup hai jazbaat, mera josh, meri khawaeshe, Enko na hosh mein laane ki humne koshish ki.

Sahi nahi, nahi galat

Sahi nahi, nahi galat, Mera yeh faisala, Aawargi gawah meri, Karta bhala main kya. Tune banae hai meri, yeh joh bhi tasveere, Voh meri hai par main nahi, Unmein hu main kahaan? Houti kaha hai dosti, safar mein yu sabhi se, Hu main bhi ek ajnabi, Meri kadar kahaan!!

Job Hopping: An Exciting Phase of Life!!

Imagine a human being who is lost, who have no idea what life is all about, who  doesn't  know what is he good at, who is unsure about which job should he do, for his entire life especially. A human being who is pretending to know, about things that he actually  doesn't  know about, someone who is ignoring his ignorance, suppressing his inability, his un-foresightedness, his lack of understanding about himself and things surrounding him. Well can one imagine what’s real? The words ‘imagination’ and ‘reality’ are antonyms of each other  aren't  they? So why haven’t we accepted this reality, now this question needs some heavy imagination, LOL!! Anyways, let’s concentrate on “doing a job for an entire life” part. One must be really smart and entirely confident to choose a job and commit himself in doing it, his entire life  isn't?  Now, what percent of human race is smart and confident in choosing a job to stick to, for an entire life, see my point! Instea

Sahi nahi, nahi galat

Sahi nahi, nahi galat, Mera yeh faisalaa, Aawargi gawah meri, Karta main aur kya? Tune banae hai meri, Yeh joh bhi tasveereh, Voh meri hai par main nahi, Unmein hu main kahaan? Houti kaha hai dosti, Yu safar mein sabhi se, Hu main bhi ek ajnabi, Meri kadar kahaan!!!

Jindagi phool si meri houti

Jindagi phool si meri houti Voh agar bagbaan mere houte!! Main bhi khushbu se mehekta houta Voh agar bagbaan mere houte!! Main bhi khilata kisi ke baalo mein kisike houth mujhe bhi chumte houte. Log mujko bhi gurrteh rehteh Main bhi logoh ko gurrta rehtaa.

Safar mein dost banana

Safar mein dost banana hummein aaya na abke bhi, Khusi se haath milaana hummein aaya na abke bhi. Gire the kal bhi ussi mod pe, nazareh milake yu!! Ke girke phir se shambhalna, hummein aaya na abke bhi. Kiya hai ishq, humne bhi banaya hai ek mehal, Mehal ko taj banana hummein aaya na abke bhi. Hu dostoh ke saath mandiroh mein ja raha magar, Khuda se bhik mangana hummein aaya na abke bhi.

Truth is Love: Yeh jaruri toh nahi hai

Yeh jaruri toh nahi hai ke ishq sabko rulaye, Khuch aise log hai joh roune ki wajah jaante nahi. Yeh jaruri toh nahi hai ke pyar sabko manaye, Khuch aise log hai joh sachchaiyo mein maante nahi. Yeh jaruri toh nahi hai ke khushi sabko hasaye, Khuch aise log hai joh jivan ko safar maante nahi.

Khuch raaz humne juganuo ki

Khuch raaz humne juganuo ki aad mein likhe, varna toh chandani se hummein hai dillagi bahaut. Taaro se meri dosti vaise toh hai magar, Mujmein dabi aajkal hai bekhudi bahaut. Dekha hai unko jabse yeh dil hosh mein nahi, dhooba hu jabse pyar mein hai mehkashi bahaut.

Aksh dou chaar hi cehreh pe

Aksh dou chaar hi cehreh pe sajana es baar, khat mera soch samajke tum jalana es baar. Dillagi pe kare duniya mein yakeen dilwale, Pyar ke unkahe vaade ko nibhana es baar. Bujdili kaam na aaaegi aise har baar, Ishq ki jung mein talvaar liye aana es baar. Maine thukara diya hai khokhale rivaazoh ko, Tumbhi duniya ki sharam chod ke aana es baar.

Jindagi na milegi dobara

Jindagi na milegi dobara / There is no second life / Life is to enjoy I always wonder is it a pity that most people just don’t scrutinize the facts or is it an excuse, an anesthesia that humans use to bare themselves from the utter pains of reality. A phrase like ‘Jindagi na milegi dobara’ for an example reflects so much of this mind numbness that I am talking about. An illusion that generation after generations endears. And it’s the universality of such an illusion that shocks to me my bone. “Life is to enjoy” is such a blatant lie if you think about it. Rationally I mean. If there is not even a single trace of me left once I die then, what difference would it make in having a count of how many places I have visited? Or what family, village, state, country I belong? What difference would it make in whether I was a president of United States or a prostitute in a brothel in Calcutta sold by my mother? It might hurt, breaking an illusion of such kind; I know that, but it’s