Skip to main content

Aksh dou chaar hi cehreh pe


Aksh dou chaar hi cehreh pe sajana es baar,
khat mera soch samajke tum jalana es baar.

Dillagi pe kare duniya mein yakeen dilwale,
Pyar ke unkahe vaade ko nibhana es baar.

Bujdili kaam na aaaegi aise har baar,
Ishq ki jung mein talvaar liye aana es baar.

Maine thukara diya hai khokhale rivaazoh ko,
Tumbhi duniya ki sharam chod ke aana es baar.



Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.