Skip to main content

Safar mein dost banana


Safar mein dost banana hummein aaya na abke bhi,
Khusi se haath milaana hummein aaya na abke bhi.

Gire the kal bhi ussi mod pe, nazareh milake yu!!
Ke girke phir se shambhalna, hummein aaya na abke bhi.

Kiya hai ishq, humne bhi banaya hai ek mehal,
Mehal ko taj banana hummein aaya na abke bhi.

Hu dostoh ke saath mandiroh mein ja raha magar,
Khuda se bhik mangana hummein aaya na abke bhi.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.