Skip to main content

Posts

Showing posts with the label C

Chandani aa, aake reh ja

Here are the overlaid Hindi lyrics as I promised 😇 sorry to the original poet, I am sure I have screwed up the actual meaning. Sorry to the original author 🙏 Chandani aa, aake reh ja, meri do aakho main, Neend bhi la, chain bhi la, meri do aakho mein. Chandani aa, aake reh ja, meri do aakho main, Neend bhi la, chain bhi la, meri do aakho mein. Mera dil, mera dil, mera dil gaaye Etna kyu, dil usko, dil usko chahe! Dil pe kaise zor kare, Dhadkan bhi ab shor kare, Janmo ka rishta lage, Uske bin dil na lage. Skipped next two line/para. Bit hard. Kare bhi to dil kya kare, dheeme Dheeme aahe bhare, hua bura haal mera! Mera dil, mera dil, mera dil gaaye Etna kyu, dil usko, dil usko chahe! Chandani aa, aake reh ja, meri do aakho main, Neend bhi la, chain bhi la, meri do aakho mein Chandani aa, aake reh ja, meri do aakho main, Neend bhi la, chain bhi la, meri do aakho mein Jaadu uski aakhein kare, Baatein bhi madhosh kare, Voh bane humdum mera, Etni si bas hai dua. Skipped next two line/para ...

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Chale aao mere dilbar

Chale aao mere dilbar ke hum tum ko bulaate hai, Jhuki aakhen thami dhadhkan ke hum tum ko bulaate hai. Jabhi milte ho tum toh dil mein mere josh rehta hai, Nigaahe baat karti hai zehen madhosh rehta hai, Chalo phir jindagi siche ke hum tumko bulaate hai. Hamare vaaste phooloh ne khushboo phir bikheri hai, Hawa ne geet gaya hai fiza ne taan chedi hai, Karo humse na ab parda ke hum tumko bulaate hai.

Chaltaa main dur tak magar

Chaltaa main dur tak magar, Bedi thi mere paav mein, Na dhoop mein rou saka kabhi, Na has saka mein chaav mein. Chahat mein phas gaya yeh dil, Til mil se khuch lagaav mein, Sapno ki baad chal padi, Sab kho diya bahaav mein. Jaisaa samaaj ne kahaa, Kartaa raha dabaav mein, Humko seher na bha saka, Na reh sake hum gaav mein Mera hunar toh kho gaya, Zillat se bhare ghaav mein, Jee khel ne ko keh raha magar, Kya kheltaa main daav mein?

Changing and Turning

Changing and Turning, Of wheel often how? Breathing and Thinking, Forever and Now.... The secret, the mystery, Stays hidden somehow, Breathing and Thinking, Forever and Now.... Killing and praising, For someone you bow, Breathing and Thinking, Forever and Now....

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chaha na karo mujko

Chaha na karo mujko, gora na mein kala hu,  Mat kaho ke tum ho meri, aur mein tumhara hu, Har jeet ki bazi ko, main janke hara hu,           Ab jooth na kaho tum, mein jaan se pyara hu, Ab rehham bhi kardo mujhe, mein ab bhi kavara hu,           Na tang karo yu mujko mein vakt ka mara hu. Chaha na karo mujko, gora na mein kala hu,

Chup-Chap sa koi shor mujhe

Chup-Chap sa koi shor mujhe,    Yu ghere rehta hai, Tanhai se, tanhai mein,    Tanhai sa rehta hai. Mein jaankar us bheed mein,    Yu kho sa jaata hu, Woh sang mere, saari jagah,    Saaye sa rehta hai. English Translation: There is always some silent noise surrounding me, Lonelyly, in lonelyness, it stays lone. I intensionaly get lost in the present crowd to forget its touch but it stays with me at every place just like a shadow

Chandi se raste par

Chandi se raste par sone se gadi, Mangil hai eski bhi mangil hamari, Na hum es-se jeete, na yeh hum-se hari, Dono hi jeete hare ba-sart  bari-bari, Khabhi esmeh kadde to khabhi phoolvari, Khabhi vakt achha toh khabhi vakt bhari, Dekhe hai kaise ho ab ki savari, Milna hai usse, ya manjil hamari.