Skip to main content

Chaltaa main dur tak magar

Chaltaa main dur tak magar,
Bedi thi mere paav mein,
Na dhoop mein rou saka kabhi,
Na has saka mein chaav mein.

Chahat mein phas gaya yeh dil,
Til mil se khuch lagaav mein,
Sapno ki baad chal padi,
Sab kho diya bahaav mein.

Jaisaa samaaj ne kahaa,
Kartaa raha dabaav mein,
Humko seher na bha saka,
Na reh sake hum gaav mein

Mera hunar toh kho gaya,
Zillat se bhare ghaav mein,
Jee khel ne ko keh raha magar,
Kya kheltaa main daav mein?

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.