Skip to main content

Asal mein chand apni chandni churata hai


Asal mein chand apni chandni churata hai,
Tere laboh se karz laike muskurata hai.

Asal mein jal joh yeh nadi mein sarsarata hai
Tere bhavar se gehsuao se mod lata hai.

Asal mein madh bhara koyal joh geet gata hai,
Tere awaaz ko dhouke se gungunata hai.

Asal mein gul joh yeh chaman mein khilkhilata hai,
Tere Uf-husn ke marmal se rang lata hai.

Comments

Popular posts from this blog

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.