Skip to main content

Bhagvaan se yu roz jagadata hai aadmi


Men pride his Ignorance

Bhagvaan se yu roz jagadata hai aadmi,
Apni samaj ko roz badaltaa hai aadmi,
Kudrat se bhala kab kabhi jeeta hai aadmi.

Apni havas mein shauk se mandir mein meh piye,
Phir hosh mein zakmoh pe yu routa hai aadmi.

Aggayan mein kudrat ko harane ka chal kare,
Phir haarke bhi jeet ko jeeta hai aadmi.

Apne niyam pe dharm ko muththi mein bhandh kar,
Dhuouke mein yu jee jee ke bhi marta hai aadmi.

Asli sakal apni na dhikhlaane ki yeh khatir,
Andher mein hi aaina rakhta hai aadmi.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.