Skip to main content

Hamare ghar pe jaane kyu

Insight: Duality

Hamare ghar pe jaane kyu,(1)
Chale voh roz aate hai.(2)

Ghadi bhar ko teherte hai,(3)
Ghadi bhar muskuraate hai.(4)

Koi rishta nahi yu toh,
Koi pehchaan nahi milti,
Purane zakhm bharte hai,
Naye khuch chod jaate hai.(1)(2)(3)(4)

Koi uljhi si dori ho,
Toh koshish kar sulaj jaye,
Unhe hum khud banate hai,
Banakar phir mitate hai. (1)(2)(3)(4)

Sulagti dhoop ka cehra,
Chupa badal mein hai jaise,
Kabhi voh bhool jaate hai,
Kabhi voh yaad aate hai.(1)(2)(3)(4)

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.