Skip to main content

Hum apne karobaar ko


Hum apne karobaar ko, lekar kaha chale?
Har aur hi toh bheed hai, bolo kaha chale?

Maana ke jindagi mili, main kaise khush rahu?,
Gham jab hazaar saath mein, chahe jaha chale?

Barsoh hue par aadmi, khud se mila nahi,
Yeh khud-khusi ke saamne,  dekho kaha chale.

Chal-neko,  paav haa mere! Chal toh rahe magar,
Yeh kis disha mein aaj hum, haye!! Kaha chale?

Koshish toh humne laakh ki, ke unsa pyaar ho,
Loh voh bhi un mein mil gaye, ab hum kaha chale?

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.