A collection of blogs, poetry, sketches, and insights
Search This Blog
Humne haalat ko bekaar hi kaatil samjha
Humne haalat ko bekaar hi kaatil samjha,
Yeh hummein jindagi ki shik daine aaya the.
Humne kudrat ko bekaar hi saamil samjha,
Thosh kounoh mein saral bachpanaa chupaaye the
The helplessness of Honesty!! Apne hi zurm ko kaise chupa laite hai khuch log Sach ko yu jhooth banakar sazaa daite hai khuch log Main zinda hu mujhe dhikta hai pardo ke pare kya hai, Mujhe gavaar batakar, mujpe hasteh hai khuch log.
Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.
Intense Love Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein, Tera dabdabaa, mere dil mein hai.
Comments
Post a Comment