Skip to main content

Haar ke ghar ko laut, aaaegeh


KHABAR   HI   NA   THI

Haar ke ghar ko laut, aaaegeh,
khabar hi na thi,
Chand se etna dur, jaaegeh,
khabar hi na thi,
Jooth se, milo dur tak,
mera rista hi, na tha,
Sach ki aesi sajaa, paaegeh,
khabar hi na thi,
Kitna sicha tha, apne-aap ko,
mangil ke liye,
Jagteh-jagteh hi so jaaegeh,
khabar hi na thi,
Jindigi yu toh, khusi baat rahi,
pal doo pal,
Gham magar sath, yu nibahaegeh,
khabar hi na thi.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.