Skip to main content

Dekha, suna, samja jo khuch


Anubhav

Dekha, suna, samja jo khuch,
Jo bhi kiya khuch aur hai, (b)
Khuch shan jo jivan se mil aaya mein,
Jo bhi kiya khuch aur hai. (a)

Kitni tamanna thi dil mein mere,
Kitne hi armaaan jubaan pe liye, (b)
Khuch shan jo amrit ka darshan kiya,
Saara nazara khuch aur hai. (a)

Sachchaiyoh se milne ke baad,
Dharmoh ka matlab samajne ke baad, (a)
Saara yeh jivan, saare nazare,
Khud se yeh milna khuch aur hai. (a)

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.