Skip to main content

Yeh teri muhobbat, tujhe pyaar karke


Yeh teri muhobbat, tujhe pyaar karke,
Khabhi chhod daigi, toh kya kigiaega,
Yeh ishq ka sagar, baraf ka nazara,
Khabhi jal-jalaye, toh kya kigiaega,
Bhale lakh katoh ko sehana hai aata,
Khabhi dum nikale, toh kya kigiaega,
Khade ho abhi tak pakad-ke  joh khandha,
Voh khandha hilaye, toh kya kigiaega,
Bhale sar jukata hai tera mulaajim,
Khabhi sar utaye, toh kya kigiaega,
Kalam yeh jo teri tu jo chahe likh le,
Khabhi vakt mitaae, toh kya kigiaega,
Bhale maut gungi a-durusaye hai ab tak,
Khabhi khud pukare , toh kya kigiaega,
Samander mein moti bhale lakh lekin,
Tujhe dikh na paye, toh kya kigiaega,
Yeh sari khudai maan-hi-maan mein tere,
Khabhi maan ho pathar, toh kya kigiaega.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.