Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2008

Khush rahe voh gule-guljaar rahe

Khush Rahe Voh Humse woh dur hi rahe lekin, Naam ka hi sahi par pyaar rahe. Khush rahe voh gule-guljaar rahe, Unpe khushiya yu beshumaar rahe. Unko jannat si neend kidhmat ho, Hum bhale raat bhar bedaar rahe. Khush rahe voh gule-guljaar rahe, Unpe khushiya yu beshumaar rahe. Milne jhulne se khafa ho toh ho, kamse kam khat ka ikhtiyaar rahe. Khush rahe voh gule-guljaar rahe, Unpe khushiya yu beshumaar rahe.

Rishteh, naate, pal-dou pal mein

Jalte Aasu Bhige Sapne Rishteh, naate, pal-dou pal mein, Bante, bigadateh, dekha humne. Jalte, aasu, bhujteh, sapne, Kya-kya, na-houte, dekha humne. Khud eshwar ko pooja ghar mein, Til til marteh dekha humne. Jalte, aasu, bhujteh, sapne, Kya-kya, na-houte, dekha humne. Har bachche ko, har aagan mein, Route jagadateh  dekha humne. Jalte, aasu, bhujteh, sapne, Kya-kya, na-houte, dekha humne. Haivaanoh ko insaanoh mein, Sajte savarateh dekha humne. Jalte, aasu, bhujteh, sapne, Kya-kya, na-houte, dekha humne.