Tu na milta toh kya sama houta. 1 Main nahi jaanta main kya houta, 2 Phool houta ke gulistaan houta. 3, 2 Rooh es bheed mein tanha houti, Zakhm har haal mein haraa houta. 1232 Dillagi gunjati virane mein, Hum safar koi na mila houta. 1232 Dard se roz sikayat houti, Aks marham aur phir dava houta.1232
Antar mann se dekh tu, tu mera kya hoye? Jaag musafhir bhor bhaye, kyu mann mandir mein soye? Tuj bin jeena vyarth hai, aur muj bin jeena bhool, Sang jiye toh swarg yaha varna sab khuch dhool.
Paisoh ke es khel mein lagta nahi hai dil, Rou rou ke bas thak gaye khuch na hua haasil. Andha dhoondh raftaar hai, hosh nahi, na chain, Douno kadam ukta gaye, aur dur bahaut manjil.
Mili manjil meri mujko, Sukoon maano ajab sa hai, Khusi kehti hai rehnehde, Mujhe!! yeh ghar gajab sa hai. Khuli har navz bhara hai josh Rag rag mein adab sa hai
Tum humse dou baatein karo, Hum tumse dou baatein kare. Tum humse naadani karo, Hum tumse naadani kare. Tum apni mann maani karo, Hum apni mann maani kare. Tum tum raho, hum hum rahe, Tum khush raho, hum chup rahe.