Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2005

Jatai tumne jo baatein

SITARO SE KAHI BAATEIN NIBHANI HAI Jatai tumne jo baatein yeh kehkar ki kahani hai,       Mujhe maalum hai ke, baat mein kitna sa paani hai. Bhale main khakh hi chunta raha hu teri nazaro mein,       Mujhe maalum hai ke, khakh mein kiski nishani hai. Tum apni jindagi ko naam doh, viram doh jitne,       Magar mujko sitaro se kahi baatein nibhani hai.

Divaro dar ko aaaj keh-doh

Hum aa Rahe Hai Divaro dar ko aaaj keh-doh,         Ke hum aa rahe hai, Hum apni uljanoh ko darr ko,    Choudh ja rahe hai.                    Voh sach jo raaz tha voh raaz,        Humne khol diya hai, Nasiboh naam ko keh-doh , Ke hum aa rahe hai. Kinare dur the mujse ke jab, Hum tan se jite the, Magar ab andhiyoh se keh-doh,   Ke hum aa rahe hai.

Voh meri aaraju ko

Voh meri aaraju ko samaj kyu nahi pata,    (1)     Voh chaiin pyar hai mera voh kyu nahi aata.  (2) Bas intazar main hai kat rahi meri duniya ,     Katoh ki sej mein dabi hui meri duniya,          Saahil bane mukaam pe voh kyu nahi aata. (1)(2) Mere sabhi chirag ne jalna gawa diya,     Meri toh kismatoh ne hi mujko daga diya,           Voh mangiloh ki raah bane kyu nahi aata. (2)(1)(1)