Skip to main content

Divaro dar ko aaaj keh-doh


Hum aa Rahe Hai

Divaro dar ko aaaj keh-doh,
        Ke hum aa rahe hai,
Hum apni uljanoh ko darr ko,
   Choudh ja rahe hai.
                  
Voh sach jo raaz tha voh raaz,
       Humne khol diya hai,
Nasiboh naam ko keh-doh ,
Ke hum aa rahe hai.

Kinare dur the mujse ke jab,
Hum tan se jite the,
Magar ab andhiyoh se keh-doh,
  Ke hum aa rahe hai.

Comments