Skip to main content

Reth ke dher par khade hai


Reth ke dher par khade hai,
Aur hosh nahi,  (1)
Aur girne par khehte hai,
Ke mera dhosh nahi.  (2)

Kaho na jhuth ke duniya ka,
                 Dard batati yeh,
Hai reth, bhor ki haseen koi,
Aos nahi. (1)(2)

Vajan jara sa bhi rak dou toh,
Eski jaan nikale,
Yeh phul ko bhi nahi sehti,
Etni thosh nahi. (1)(2)(1)

English Translation:

First we dont realize we are standing on
a base madeup of pure sand and second when
we fall we say its not my fault.

Dont lie to yourself that it is helpful to
stand on it and you are increasing your
weight for a valid reason.

Its in its nature to spread when the weight
on it becomes heavier and so you will
ultimately fall.

Time to Open your eyes and See this truth.In
simple words life is based on sand heap and
it is bound to fall when the weight of
useless desires kept on increasing.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.