Skip to main content

Behti rahi sharab phir


Behti rahi sharab phir,
  Phir hum behek gaye,
Unke khayalo khab se,
 Phir hum mehek gaye.

Usko khabar bhi hai meri,
Mujko khabar nahi,
Ha par esi khayal se,
Phir hum chehek gaye.

English Translation:

Once again I am drunk and I am falling all over!!
Its her dreams, her dreams have once again blossomed me!

I don't know whether she think about me or remember me or what
but when i realized this, by asking a question to myself,
once again I am lost in her deep boundless thoughts.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.