Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2009

Ji rahe na mar rahe hai

Ji rahe na mar rahe hai, Phir bhi yu hi loot rahe hai, Ae sanam kyu tere pyaar mein. Jindagi tamam humne, Kardi tere naam jabse, Ji rahe hai intazaar mein. Ab na koi aarzu hai, Bas teri hi justaju hai, kho gaye hai kis khayal mein. Har taraf dhua dhua hai, Jaane es-mein tu kaha hai, Aa meri nazar ke saamne. English Translation: I am neither living nor dieing, but then too I feel like I am getting robbed , Just because of your love, My darling. The movement from when I have given my whole life to you, I feel like I am living in endless waiting. I have no wishes anymore within me, what i have  is  you and I am totally lost in your momories from now . Everwhere I see, I see smoke clouds I dont know where have you lost within this, But I want you to come back and allow me to see you . come out of this smoke cloud.

Joh hum-mein bawaraa samajte hai

Wrestling between an honest man versus the society. Joh hum-mein bawaraa samajte hai, Woh hum-mein asaraa-sa kya denghe? Hum-ne mar mar ke jisko sichaa hai, Woh fasal aaj woh jalaa denghe. Meri har baat pe joh hasteh hai, kyu mujhe bhik mein dua denghe? Enko kudrat ka kahaa khaltaa hai, Yeh mere aks ko mitaa denghe. Jinka dil hai par phir bhi khali hai, Woh hum-mein de bhi de toh kya denghe? Mere aasu aur phir mere gham ko, Koi tarkeeb se badhaa denghe. "Koi mandir mein ab nahi rehtaa" mere kehne pe bad dua denghe, gehre taano se meri ezzath pe, naastik ke chinha sa bana denghe. Jis gali se mein phir gujar jauu, woh tamasha koi bana denghe, mere zillat se dabe khandho par, bhoj aur koi phir chadhha denghe. thouda behlaakar tohuda pushlakar, mujko marne ke phir salaah denghe, aur kabhi bhool ke yeh joh saas bharu, mujko phir yaad yeh dilaa denghe. mera ensaan sa banana jinhe gawara na ho, woh mujhe aise ya waise jaroor hara denghe, aur phir...