Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2009

Tu khudai ki baat karta hai

Tu khudai ki baat karta hai, Toh bataade ki phir khuda kya hai? Khuch batane ke pehle soch magar, Tune socha jise woh khuda kya hai? Tera socha (hua) khuda banavat hai, Chal hai, dhoka hai, aur rukavat hai, Khol ke aakh dekh duniya ko, Bhand aakho se kab, dhikha kya hai? Dhyan karna yeh teri chahat hai, Baaki sapna hai aur dhikhavat hai, Dharam ko dhaar chod bhuddhi ko, Etna gehrai se sochtaa kya hai? God cannnot be thinked, discussed and or described but rather felt or experienced within oneself through meditation.

Aap paani ki baat karte hai

Aap paani ki baat karte hai, Maine paththar mein nami dekhi hai, Jindagi kya hai koi kya samjhe, Kisne khud apni chabi dekhi hai. Kyu bharosa kare tu kudrat pe, Tune kab eski sakal dekhi hai, Naam bas naam hi ko sun kar ke, Apni banee ko bigadte dekhi hai.