Skip to main content

Tu khudai ki baat karta hai


Tu khudai ki baat karta hai,
Toh bataade ki phir khuda kya hai?
Khuch batane ke pehle soch magar,
Tune socha jise woh khuda kya hai?

Tera socha (hua) khuda banavat hai,
Chal hai, dhoka hai, aur rukavat hai,
Khol ke aakh dekh duniya ko,
Bhand aakho se kab, dhikha kya hai?

Dhyan karna yeh teri chahat hai,
Baaki sapna hai aur dhikhavat hai,
Dharam ko dhaar chod bhuddhi ko,
Etna gehrai se sochtaa kya hai?

God cannnot be thinked, discussed and or described but
rather felt or experienced within oneself through meditation.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.