Skip to main content

Unimaginable Beauty


Listen:

 Nazar milaane ke kaabil hum unke hai hi nahi,
 Joh phool humne chuna hai voh phool hai hi nahi.

 Hai mere saath kae dil joh unpe marte hai,
 Par hummein unke mukammil kamaal hai hi nahi.

 Voh hasse toh savaal khudmakhud hummein puche,
 Hai kaisa yeh javaab jiska savaal hai hi nahi.

 Unko dekha toh nazar jhuk-ke phir uthi hi nahi,
 Khuch aur dekhne ki himmat ab enmein hai hai nahi.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.