Skip to main content

Posts

Showing posts from 2016

Jhooth ko sach banana, bahaut aasaan ho gaya

India: The time in Evils Favor! Jhooth ko sach banana, bahaut aasaan ho gaya, raakh ko dhool batana, bahaut aasaan ho gaya. rang laakho sunehre hai tej aakhein rizaane ko, koi bhi chitra banana, bahaut aasaan ho gaya. tarazu ke dou palado par koi bhi dor nahi dhikti,  jhukana zor se palada, bahaut aasaan ho gaya. dharam ki baat samajne ko kaha hai vakt sunne ka adharmi raah pe chalna, bahaut aasaan ho gaya. tyag aur tapp ki zameen pe, vasanao ke-ghire baadal, moh maaya mein jee laina, bahaut aasaan ho gaya. 

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.