Skip to main content

Jhooth ko sach banana, bahaut aasaan ho gaya

India: The time in Evils Favor!

Jhooth ko sach banana, bahaut aasaan ho gaya,
raakh ko dhool batana, bahaut aasaan ho gaya.

rang laakho sunehre hai tej aakhein rizaane ko,
koi bhi chitra banana, bahaut aasaan ho gaya.

tarazu ke dou palado par koi bhi dor nahi dhikti, 
jhukana zor se palada, bahaut aasaan ho gaya.

dharam ki baat samajne ko kaha hai vakt sunne ka
adharmi raah pe chalna, bahaut aasaan ho gaya.

tyag aur tapp ki zameen pe, vasanao ke-ghire baadal,
moh maaya mein jee laina, bahaut aasaan ho gaya. 

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.