Skip to main content

Zindagi kabhi hasti

Here are the overlaid Hindi lyrics as I promised 😇 sorry to the original poet, I am sure I have screwed up the actual meaning. Sorry to the original author 🙏


Zindagi kabhi hasti,
khilkhilati tu,
Zindagi kabhi roukar,
kya shikhati tu!

Kabhi upar, kabhi niche,
Kabhi rasta bhulaati,
Kabhi manjil dilati zindagi

Kabhi aasu, kabhi muskaan,
Kabhi thandak dilati,
Kabhi hai jaljalati zindagi

Ae zindagi, kar dosti,
De haath apna bana le!
Baho mein le, sar choom le,
De apne ghar ka pata de!!

Teri khamoshi,
Bhi kitna khuch bolti,
Har taraf chupe,
Raaz kitne hai kholti.

Teri nazar se jab bhi mere,
Khabo ko do par mile,
Udne laga hu kis aur main,
Na rukne ko dil kare.

Zindagi kabhi hasti
khilkhilati tu,
Zindagi kabhi roukar
kya shikhati tu!

Meri khwaishein,
Hai tujmein yeh ja basi,
Meri koshishein,
Jo paane ki voh tu hi

Meri gavahi dega yeh dil,
Jab chahe tu puch le,
Teri chabhi main dhundhu kaha,
Kaha mujko tu mile

Zindagi kabhi hasti
Khilkhilati tu,
Zindagi kabhi roukar
Kya shikhati tu!

Kabhi aasan, kabhi muskil,
Kabhi apne chudaati,
Kabhi khud se milaati zindagi

Kabhi aadhi, kabhi poori,
Kabhi patter si bhari,
Kabhi phooloh se komal zindagi

Ae zindagi, phir se meri,
Rango se duniya saje de,
Kar de dua, munkin meri,
Zakmo ko meri dava de.


Mudhal Nee Mudivum Nee https://youtu.be/btWnZxF-Hck
Try to listen and read at the same time, you should surely get it 👍




Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.