Skip to main content

Yeh tera savaal tha yeh tera Javaab hai


Yeh tera savaal tha yeh tera Javaab hai,
Dard tere saath tha dard tere saath hai.

Ya zeher se dur ho, ya dava ke pass reh,
Yeh tere kareeb tha, ab bhi tere saath hai.

Koshishe tamam kar Chal raha eilaaj hai,
Kal joh zakhm tha bhara phir hara woh aaj hai.

kya tera naseeb hai, kya khuda se aas hai,
Ghav jisne hai diya Woh tera hi haath hai.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.