Skip to main content

Jivan mane hai ek ghada


Jivan mane hai ek ghada,
        Par voh ghda joh khali hai,
Esmein ek pal tanhai toh ,
Duje pal divali hai.  (1)
Hai ek taraf banjar jameen,
        Toh ek taraf haryaali hai,
Aasaaan sa lagta nahi chahe ho koi bhi safar,
        Rishteh to bas har naam ke,
Har reet bhi nirali hai,
        Ghar ek hai bimaaar toh,
Kya dujeh ghar khushali hai. (1)

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.