A collection of blogs, poetry, sketches, and insights
Search This Blog
Eehsaas yeh hua hai k
Eehsaas yeh hua hai ke, saas tham gayi, (1)
Dekha tum he bas ek nazar, toh voh bhi jam gayi,
Bas ek nazar se teri, duniya badal gayi,
Ek tu hai ek mein hu, baaki toh khuch nahi (1).
Vakt be vakt hi hairaan chala chalta hai, Aaadmi khud mein paresan chala chalta hai, Aakhari saas tak uljha hua khyaloh mein, Apni uljhan ka hi bimaar chala chalta hai
Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.
Comments
Post a Comment