Skip to main content

Kitni rahe,hai dekhti meri yeh uth-ti nazar


Kitni rahe,hai dekhti meri yeh uth-ti nazar, (1)
Enmeh koi toh ,mere ghar ka, rasta hoga, (2)
Pyaas kitni hai mujhe, mere ghar se milne ki,
Kab voh dil-kash se hakikat ka samna hoga,
Mera ghar, mitti ya pathar, se bana na lekin,
Esmeh har sach ki chandni ka gharana hoga.(1)(2)

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.