Skip to main content

Kal-kal kal-kal karte-karte


KAL KA FAL

Kal-kal  kal-kal  karte-kerte,  (1)
               Aaj  main  jeena  bhul  gaye. (2)

Mandir  main  jaa kar  bhi  hum  to,
              Darshan  karna  bhul  gaye.

Aashani  se  milte  manjill,
              Chalna  hi  tha  humko  aaj,

Chalne  ko  nikle  bhi  ghar  se,
              Naksha  lena  bhul  gaye.

Bhul gaye hum hasna gana,
              Sach mein jina bhul gaye. (1)(2)

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.