Dhikave ki duniya
Yeh dhikave ki duniya mein tang aa gaya, (1)
Es ke til-mil usul-lohse ghabara gaya. (2)
Savalo javabo ka joh khel hai,
Yeh nadiyoh ka naaloh ka joh mail hai,
Mein toh uljeh se baaloh mein uljaah gaya. (1)(2)
Galat kya sahi hai, nisana hu mein,
Hu mujrim, hu neta, vidhata hu mein,
Apni dohri hakikat se bharma gaya. (1)(2)
Kiske haatoh mein kitni hai aazadiyaa,
Tarakki ke raaho mein barbadiya,
Thi chalne ki hasrat Main chalta gaya. (1)(2)
Bagavat joh ki toh tiraskar hai,
Kitna muskil yeh ristoh ka vayopaar hai,
Jaise ungali karaye mein karta gaya. (1)(2)
Yeh darpan sa jivan na aasaan hai,
Mujhe janam se hi sach ki pehchaan hai,
kaise mudti yeh raaho mein mudta gaya!!! (1)(2)
Comments
Post a Comment