Skip to main content

Soona jab ehasaas lage toh


Soona jab ehasaas lage toh chain mile,(1)
jaane kyu kal thanhai se darte the.(2)

Muj mein saara arth dhaba hai jivan ka,
Khud ko samjhane mein kitna marte the.
aur ab,(1)(2)

Mann ko lekar ab maine har kaam kiya,
Bin dharmo ke kaise pooja karte the.

English Translation:

I observe an eternal satisfaction when,
I feel seemless emtyness within me,
I wonder why was I used to get,
scared of this pause before.

I can see this entire universe,
is hidden within just "me"
I wonder why I was not ready,
to learn and research it before

I relealisticaly see myself been doing
whatever I am doing right from very now,
I wonder who use to do whatever
I thought I have been doing until now.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.