Skip to main content

Maine duniya ko akele hi


Maine duniya ko akele hi sajaaye rakkh-kha,
Bhoj khandoh pe hamesha hi uthaae rakkh-kha.

Kabhi jurrat jo ki pairo ne bagavat mujse,
bepanah dard ko himmat se dabaae rakkh-kha.

Main bhala haar ke thak ke tujhe marne kyu du,
sard mausum hua toh khudko jalaae rakkh-kha.

Koi kudrat ke sivaah saath mera kal daiga,
maine es aas ko ghut ghut ke banaae rakhkah.

Kitni koshish hai ki nafratne giraneki mujhe,
dil ne nafratko muhobbat se daraae rakhkah

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.