Skip to main content

Sabko haranaa bhala munkin kaha hai


Aadmi, The Man

Sabko haranaa bhala munkin kaha hai,
Khudko jitaana magar har roz chahataa hu.

Aaakhe sahi hai magar gehraa andheraa hai,
Tohkar lage kabhi toh  kyu ruth jataa hu?

Mangil meri kaha ha? unjaan raaho mein,
Uljha hua hu phir bhi uljhan badhataa hu.

Ruktaa kahi nahi main har waqt jaldi mein,
Hastaa tabhi jabhi main kisko rulaata hu.

Har shaksha jhutha dikhe meri nigaaho ko par,
Dekhu jabhi aaenaa sach ko chupataa hu.

Khud se hi ladhne ke main sapne sajataa hu,
Khuch yaad karte karte phir bhool jaata hu.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.