Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2009

Sehem jaana, tera ae-dil kabhi

Sehem jaana, tera ae-dil kabhi, Kabhi be-khauff, tera ladhnaa. (1) Kabhi rouna yu ghut ghut ke, Kabhi has ke biikharr janaa. Kabhi fursat mein chup rehnaa, Kabhi mauke pe muskaanaa, Khudaa ko chahana lekin kabhi, Phir, phir ulajjaanaa. (1) Kabhi khud ko haraa daina, Kabhi duje kaa gham sehnaa, Kabhi yu ruth na khud se, Kabhi khud ko mana lainaa. (1)

Yeh duniya pagal-khaana hai

Yeh duniya pagal-khaana hai, Har Shakhsh yaha deewana hai. Gungo ko savarrr, andho ko nazar, Bhudho ko bachpan paanaa hai. Murja se gaye viraan mandir, Jaha bheed dhikhe, mehkhaana hai. Khuch baat ke sou-sou matlab hai, Sou-sou matlab ko ginanaa hai. Hum thak se gaye sach dho-dho kar, par bhoj toh phir bhi uthaana hai, Kisi aur ka tod ke ghar apne, Tute huye ghar ko bananaa hai, Sab log huye gumraah itne, manjil hai ke manjil paanaa hai. Pagal sa junoon, pagal si tadap, Har Insaan khud se anjaana hai.