Yeh duniya pagal-khaana hai,
Har Shakhsh yaha deewana hai.
Gungo ko savarrr, andho ko nazar,
Bhudho ko bachpan paanaa hai.
Murja se gaye viraan mandir,
Jaha bheed dhikhe, mehkhaana hai.
Khuch baat ke sou-sou matlab hai,
Sou-sou matlab ko ginanaa hai.
Hum thak se gaye sach dho-dho kar,
par bhoj toh phir bhi uthaana hai,
Kisi aur ka tod ke ghar apne,
Tute huye ghar ko bananaa hai,
Sab log huye gumraah itne,
manjil hai ke manjil paanaa hai.
Pagal sa junoon, pagal si tadap,
Har Insaan khud se anjaana hai.
Comments
Post a Comment