Skip to main content

Main chahata toh usse, bhoolane nahi daitaa,


Kisi bichade hue aashiq ke bebasi ka bayaan

Main chahata toh usse, bhoolane nahi daitaa,
Magar yu yaad phir aanaa, hummein manjoor nahi.

Main chahata toh usse, chin bhio toh sakta tha,
Magar yu chin ke hasnaa, hummein manjoor nahi.

Main chahata toh usse, maar bhi toh sakta tha,
Magar yu pyar mein marnaa, hummein manjoor nahi.

Voh mera pyar hai, voh junoon hai ebaadat hai,
Voh bewafa hai yeh kehnaa, hummein manjoor nahi.

Hamare haal pe duniya ka faisala kya hai,
usse kabool ho to ho, hummein manjoor nahi.

Main pyar ke haseen khel es liye haaraa,
unhe harake yu jeetana, hummein manjoor nahi.

English Translation:

I let her won by willingely loosing myself and then
let her go because even though we both fall in love
together I experienced what LOVE really is and sadly
she didnt...............................

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.