Skip to main content

Main sahi galat ke beech mein


chaltaa chalaa gaya

Main sahi galat ke beech mein chaltaa chalaa gaya,
Khud apni be-khudi mein gujarataa chalaa gaya.

Hosh-ao-hawaas aake mujhe puch-te rahe,
Tu kaun hai? jo mujko parakhtaa chalaa gaya!

Darr ne kabhi, kabhi gham ne, yu dhakka diya mujhe,
Main unse phir bhi josh mein ladhtaa chalaa gaya.

Comments

Popular posts from this blog

Main zakhm bharane baitha hu

Main zakhm bharane baitha hu, Tum dard badhana chod bhi do. Gham kitne jamane ke pee gaye, Tum aur rulaana chod bhi do. Sine se lagaye hu tumko, Yaadon mein bahana chod bhi do. Kismet ne kabhi baksha hi nahi, Ab aas lagana chod bhi do. Koshish karna hum bhool gaye, Nazaroh se rijhaana chod bhi do. Main rang lagane tatpar hu, Deewaar girana chod bhi do. Har cheez toh chodi hai humne, Ek naam tumhara chod bhi do.