Skip to main content

Khat ko dou char dafa padhna

Letter of tears to the ungrateful beloved, after death

Khat ko dou char dafa, padhna, padhke roh daina,
Meri tasveer pe, joh daag ho, toh dho daina.

Maine marte huye khuch aah likhi hai enmein,
Koi tafleef ho toh shoukh se bigoh daina.

Tumne jeete jee mujhe roz mitaya til-til, 
Ab toh main mar gaya, mat mujse shikayat karna.

Tumne jeete jee mujhe roz rulaya til-til, 
Ab toh main mar gaya, tumbhi khud ko kho daina.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.