Skip to main content

Khabar ka khel charo aur

Media - Ek Kadvi hakikat

Khabar ka khel charo aur, hummein tum kya sunaaogeh?
Bhavar mein khud phase ho tum, hummein!! rasta dikhaaoge?

Kaha tummein bachi hai sharm, ke tum sacchai ko kehdoh,
Jo kabki loot gayi izzat, isse tum kya bachaaoge?

Fakt paise ke tatto ho, manoranjan karo sabka,
Kabhi gar hosh mein aayo, kya etna shor machhaaoge?

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.