Skip to main content

Jivan samay ki noke par


JAB ANTH KAREEB HO!

Jivan samay ki noke par, aakar simat gaya,
   Chalna to cha-hata tha magar, sab khuch badal gaya.
Saaya mera mujko mare samjhe yu lipat gaya,
   Jine ki aas khudko de-de kar fhir palat gaya.
Jab Jivan samay ki noke par, aakar simat gaya,
   Mujhe dekhkar hasta jo mukh aasu baha gaya.
Chalna to cha-hata tha magar, sab khuch badal gaya,
   Jab Jivan samay ki noke par, aakar simat gaya.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.